"Mission Axiom 4 Kya hai: aur kyun kharch karne padhe duniya bhar ke deshon ko is mission par ₹2000 Cror"

 Aaj  duniya bhar me har jagah mission Axiom 4 ki charcha hori hai yah kamyabi ek new bhavishya ki aur ishara karti hai jo yah batati hai ki ab insan ke liye kuch bhi asambhav nahi hai agr wo chahe to kya nahi kar sakte hai 

Axiom 4 ne sabit kiya hai ki ab sirf government nahi, balki private companies bhi successfully astronauts ko space me bhej sakti hain.

Astronaut

1.Axiom Space kya hai?

Axiom Space ek American private aerospace company hai jo International Space Station (ISS) ke baad ka future plan kar rahi hai. NASA aur SpaceX ke saath milkar, Axiom Space ne Ax-4 mission launch kiya – ek completely private crewed space mission jiska maksad scientific research aur commercial space travel ko aage badhana tha.


2.🔭 Launch Details

Mission Name: Axiom Mission 4 (Ax-4)

Launch Date: 18 January 2024

Launch Vehicle: SpaceX Falcon 9

Spacecraft: Crew Dragon Freedom

Launch Site: Kennedy Space Center, Florida, USA

Duration: ~18 din ka mission (14 din ISS par)

Destination: International Space Station (ISS)


3.Kon kon se desh aur kitne Crew Members jarah hai is mission par :

is mission me kul 4 desh shamil hai jisme 

American, Poland, Hungry aur india bhi is mission me shamil hai 


4.Crew Membership

1.Commander: Peggy Whitson (retired NASA, record holding cum. time in space)  

2.Pilot: Shubhanshu Shukla (ISRO, Bharat ke dusre astronaut aur raksha shrama ke baad dusre antariksh me jane wale vyakti hai

3.Sławosz Uznański‑Wiśniewski (ESA/Poland ke liye, pehla Polish ISS visit after 1978)  

4.Mission Specialist: Tibor Kapu (Hungary, dusra Hungarian astronaut since 1980)  


5.Mission Axisom 4 ke uddeshy kya hai? 

1. Myogenesis – Space mein muscle repair aur growth process ko study kiya jayega

2. Sprouts & Moong – Moong beans ke germination behavior ko microgravity mein observe kiya jayga 

3. Microalgae – Oxygen aur nutrition source ke roop mein algae ki growth test ki jayegi

4. Tardigrades – Extreme condition mein ek chhoti prajati ki survival ability ko study kiya jayga 

5. Voyager Display – Space mein screen aur touch systems ke use par human response analyze kiya jayga 

6. Crop Seeds – 6 alag-alag faslon ke beej space mein grow karke unki quality dekhi Jayegi 

7. Cyanobacteria – Oxygen banane wale bacteria ki growth aur utility ko test kiya jayega .


6.Shubhanshu Shukla se pahle kis indian ne space me jakr research ki thii :

Shubhanshu Shukla se pahle "Rakesh Sharma " ne jo ki Bharat ke pehle astronaut the jo 1984 mein Soviet Union ke space mission Soyuz T-11 ke zariye antriksh mein gaye the. Unka mission 3 April 1984 ko launch hua tha unhone research ki thii

Aur ab yah yani shubhanshu Shukla jo ki dusre bharti research hoge 


7.Mission par kitna kharcha aaya hai? 

Is mission me 4 desho ka milkar lagbhag 2000 crore ka kharcha aaya hai aur agar hum baat akele bhart ki kare to usne 550 crore kharch kiye hai shubhanshu Shukla ko mission par bhej ne ke liye 


8.Is mission se kya fayda hoga? 

Jab companies aur countries space me research karengi to naye jobs, startups aur opportunities khulegi. Jisse aane wale kal me enterprineur aur student ke liye acchi opportunities khulegi

Post a Comment

0 Comments